safar sarabon ka bas aaj kaTne vaala hai
ki mere paanv se dariya lipaTne vaala hai
uTho ki ab to tamazat ka za.iqa chakh len
shajar ka saaya shajar men simaTne vaala hai
to phir yaqin ki sarhad men vaar kar mujh par
guman ki dhund men jab tiir uchaTne vaala hai
tu itna jis ki ziya-bariyon pe nazan hai
ghubar-e-shab se vo chehra bhi aTne vaala hai
ye ek saaya ghanimat hai rok lo varna
ye raushni ke badan se lipaTne vaala hai
Leave a Reply