bujha bujha ke jalata hai dil ka sho.ala kaun
dikha raha hai mujhi ko mira tamasha kaun
sabhi ke chehron pe mehr-o-vafa ka ghaza hai
kahun ye kaise paraya hai kaun apna
ḳhushi ki bazm men ham-raqs hain sabhi lekin
karega paar mire saath gham ka dariya kaun
bahar aa.i hai lekin khile hain aag ke phuul
har ik daraḳht men rakh kar gaya hai sho.ala kaun
ye phuul rang sitare faza ki ra.ana.i
uTha ke bhuul gaya apne ruḳh se parda kaun
yaqin tha use aana hai ek din lekin
achanak aa.i to dil ne dhaḌak ke puchha kaun
varaq varaq pe mohabbat ki dastan likh kar
‘sarosh’ soch raha huun use paḌhega kaun
Leave a Reply