ab bhi azad fazaon ka na imkan nikla
bab-e-gulshan jise samjhe dar-e-zindan nikla
itna nazdik mire tu bhi kabhi aa na saka
jitna nazdik mire ye gham-e-dauran nikla
un ki mahfil se main le aaya tamanna un ki
log samjhe the ki main be-sar-o-saman nikla
ruk ke ik ashk ne kya kya na jalaya ham ko
dil ka suraj bhi charagh-e-tah-e-daman nikla
ham ne dekha to koi ishq ka talib hi na tha
ham ne puchha to har ik sahab-e-iman nikla
jab bhi malum kiya apni tabahi ka sabab
apne hathon men ḳhud apna hi gareban nikla
ḳhud-numa.i bhi ajab zulm hai ‘nuri’ mujh par
haa.e vo vaqt ki main ḳhud se gurezan nikla
Leave a Reply