duniya ko dars-e-mahr-o-vafa de rahe hain ham
sahra men jaise koi sada de rahe hain ham
ye sochna fuzul hai duniya se kya mila
ye dekhna zarur hai kya de rahe hain ham
le kar jaza-e-ḳhuld ki ik arzu-e-ḳham
ḳhud ko na jaane kab se saza de rahe hain ham
ai rahzan-e-mata.a-e-dil-o-jan ḳhuda gavah
tujh ko ba-sad-ḳhulus dua de rahe hain ham
maana ki uḌ chuka hai gareban ka taar taar
shaḳhon ko to gulon ki qaba de rahe hain ham
Leave a Reply