yahan baghair-fughan shab basar nahin hoti
vahan asar nahin hota ḳhabar nahin hoti
ḳhalish jigar men hai dil ko ḳhabar nahin hoti
chubhi hai phans idhar se udhar nahin hoti
abas hi kal ke liye iltiva-e-mashq-e-ḳhiram
qayamat aaj hi kyuun fitna-gar nahin hoti
jo un se duur hai us ke liye hain chashm-e-ba-rah
ham un ke paas hain ham par nazar nahin hoti
ajal ko rokiye kya kah ke un ke aane tak
ki ab to baat bhi ai chara-gar nahin hoti
vo aa gae hain to aansu zarur ponchhenge
ab aankh kyuun miri ashkon se tar nahin hoti
kamal-e-be-hunari se ghani huun main ‘ahsan’
mujhe zarurat-e-arz-e-hunar nahin hoti