zara si baat pe har rasm toḌ aaya tha
dil-e-tabah ne bhi kya mizaj paaya tha
guzar gaya hai koi lamha-e-sharar ki tarah
abhi to main use pahchan bhi na paaya tha
muaaf kar na saki meri zindagi mujh ko
vo ek lamha ki main tujh se tang aaya tha
shagufta phuul simaT kar kali bane jaise
kuchh is kamal se tu ne badan churaya tha
pata nahin ki mire ba.ad un pe kya guzri
main chand ḳhvab zamane men chhoḌ aaya tha
Leave a Reply