bahte hue dariya ke kinaron ki tarah tha
tujh se mira rishta kabhi ḳhvabon ki tarah tha
bistar pe utar aa.i thiin mahtab ki kirnen
lahja tira kal raat ujalon ki tarah tha
main us ko paḌha karta tha har raat bahut der
vo shaḳhs mire paas kitabon ki tarah tha
kya lams tha kya zulf thi kya surḳhi-e-lab thi
har rang tira jaise sharabon ki tarah tha
kuchh der ko ḳhush kar ke chale saare jahan ko
kya apna ta.alluq bhi tamashon ki tarah tha
duniya ne bahut chaha ki naam us ka bata duun
vo dafn tha mujh men mire razon ki tarah tha
khone nahin deta tha mujhe bhiiḌ men ehsas
jakḌe hue mujh ko tiri banhon ki tarah tha
Leave a Reply