ye ham dekha ajab tamasha
ghat ghat paaya vahi ka baasa
ek din guru ki daya bhai ham par
tuk raha manau khulasa
sab sansar gayo ghul jaise
jal men ghulat batasa
tab ham jaana vahin hain thakur
sab jag un ki daasa
gayo bharam sansar ka sab hi
bhayo hirdai se naasa
kaha rahe sansar ab man men
rahi vahi ki aasa
nirgun aur niranjan pyara
aap rahe ‘kazim’ paasa
Leave a Reply