haath ḳhali the ḳharidar hua tha us din
main ki rusva sar-e-bazar hua tha us din
haan usi dar pe sada phir se laga.i jaa.e
haan usi dar se to inkar hua tha us din
meri ta.amir men us ka bhi baḌa haath raha
shaḳhsiyat par jo miri vaar hua tha us din
ab to iman se rangon pe na ḳhushbu pe yaqin
phuul chunne ka gunahgar hua tha us din
ek chaTTan pe barsa tha ghaTa ban ke ‘nizam’
kis nadamat se main do-char hua tha us din
Leave a Reply