ab apni chikh bhi kya apni be zabani kya
mahz asiron ki mahsur zindagani kya
ruten jo tu ne utari hain khuub hongi magar
babul-sej pe sajti hai gul-fishani kya
hai jism ek tazadat ke kai khane
karega par inhen ik rang-e-asmani kya
hazar karvaten jhankar hi sunati hain
yuun jhatpatane se zanjir hogi paani kya
zamin ke aur taqaze falak kuchh aur kahe
qalam bhi chup hai ki ab mod le kahani kya
ana to qaid ki tashhir se gurezan thi
pukar utthi magar meri be-zabani kya
main khushk nakhl si jangal tavil tez hava
bikher degi mujhe bhi ye be-makani kya
Leave a Reply