kabhi charagh kabhi rasta badal kar dekh
bahut qarib hai manzil zara sa chal kar dekh
tire hisar se bahar nahin zaman-o-makan
tu meri tarah kisi aa.ine men Dhal kar dekh
faqir ban ke vo aaya hai teri chaukhaT par
ye koi aur nahin hai zara sambhal kar dekh
nigar-ḳhana-e-gardun ko raakh karte hue
zara si der kisi taqche men jal kar dekh
zamin tang hui ja rahi hai logon par
hudud-e-qarya-e-jan se kabhi nikal kar dekh
ravan-davan hain kisi samt men ki sakit hain
phir ek baar sitaron ki aankh mal kar dekh
ajiib lutf hai tark-e-nashat men ‘sajid’
jo ho sake to miri baat par amal kar dekh
Leave a Reply