mehrban paate nahin tere taiin yak aan ham
phir bhala dil ke nikalen kis tarah arman ham
har qadam par jis ke ejaz-e-masihai fida
us ada us naaz us raftar ke qurban ham
umr bhar saaqi na chhodi mai-kada ki bandagi
ek hi paimane par karte hain ye paiman ham
koi to davat bata do is tarah ki shaikh ji
ek shab to apne ghar is ko rakhen mehman ham
haan magar salvat padhna dekh tujh ko dam-ba-dam
aur kya rakhte hain teri shaan ke shayan ham
ji men ham barpa karen zanjir ka ghul ai junun
vadi-majnun ko dekhen kis tarah sunsan ham
raat din sohbat hai jin ko be-takalluf aap se
puchhna kya vo to behtar hain bhala ai jaan ham
tu ne duz-dida nigahen jab ladain ghair se
ho gae na-char pyare jaan kar anjan ham
ham-nashin sarkar ke hi ja-ba-ja ghammaz hain
kijiye tahqiq ise karte nahin bohtan ham
sair ko aata hai vo ‘iman’ ja kar baagh men
khol deven chaar din aage hi gul ke kaan ham
Leave a Reply