abhi dekhi kahan hain aap ne sab khubiyan meri
nigahen dhundhti hain aap ki bas khamiyan meri
mira kirdar duniyan men shahadat se munavvar hai
nazar aaen falak par sab ko raushan surkhiyan meri
vahan barson talak phulon ki kheti hoti rahti hai
baras jaati hain jin khitton pe ja kar badliyan meri
main har neki ko apne dushmanon men baant deti huun
samar-avar raha karti hain is se nekiyan meri
zamana chahe jo samjhe ana ke saath zinda huun
tumhen bhi jiit legi ek din ye khubiyan meri
kisi bhi maarke par ab talak haari nahin huun main
mira zevar raha hai doston khuddariyan meri
jise tum raakh samjhe ho abhi tak aag hai us men
kuredo mat jala degi tumhen chingariyan meri
‘sabin’ aksar main dastarkhavan se uth jaati huun bin khaae
kisi bhuke ke kaam aa jaaen shayad rotiyan meri
Leave a Reply