• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kabhi Tu Ne Khud Bhi Socha Ki Ye Pyas Hai To Kyun Hai

Kabhi Tu Ne Khud Bhi Socha Ki Ye Pyas Hai To Kyun Hai

etibar-sajid

kabhi tu ne khud bhi socha ki ye pyaas hai to kyuun hai

tujhe pa ke bhi mira dil jo udaas hai to kyuun hai

mujhe kyuun aziz-tar hai ye dhuan dhuan sa mausam

ye hava-e-sham-e-hijran mujhe raas hai to kyuun hai

tujhe kho ke sochta huun mire daman-e-talab men

koi khvab hai to kyuun hai koi aas hai to kyuun hai

main ujad ke bhi huun tera tu bichhad ke bhi hai mera

ye yaqin hai to kyuun hai ye qayas hai to kyuun hai

mire tan barahna-dushman isi gham men ghul rahe hain

ki mire badan pe salim ye libas hai to kyuun hai

kabhi puchh us ke dil se ki ye khush-mizaj shair

bahut apni shairi men jo udaas hai to kyuun hai

tira kis ne dil bujhaya mire ‘eatibar-sajid’

ye charagh-e-hijr ab tak tire paas hai to kyuun hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ek Pal Ki dauD Dhup Mein Aisa Thaka Badan

Guzre Waqt Ki Shayad Tujhe KHabar Kam Hai

Ji Ko Rog Laga baiTha Ji Ke Rog Se Marta Hun

Nim Pagal to Main Hun Tum Mujhe Sara Kar Do

poet

Tang Thi Ja Khatir-E-Nashad Mein

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet