to phir kya rah-e-hasti men koi nazuk maqam aaya
zaban par aaj ye be-saḳhta kyon un ka naam aaya
kahan tak ehtiyat-e-sajda hoti rah-e-ulfat men
kahin tur-e-nazar aaya kahin dil ka maqam aaya
juda maqsad juda mashrab juda rahen juda manzil
na duniya mere kaam aa.i na main duniya ke kaam aaya
karishma-sazi-e-fikr-o-nazar ka puchhna kya hai
tulu-e-sub.h se pahle mujhe paigham-e-sham aaya
jahan par phuul khilte the vahan kanTe hue paida
ye kis ke dast-e-qudrat men gulistan ka nizam aaya
ḳhuda malum vo hain ya hai nairangi tasavvur ki
nazar ke samne ik paikar-e-husn-e-tamam aaya
hayat-o-maut ko ye kashmakash dekhi nahin jaati
ajal is samt aa.i us taraf un ka payam aaya
‘ḳhalish’ fitrat ki gul-afshaniyan mere hi dam tak thiin
na phir koi naved aa.i na phir koi payam aaya
Leave a Reply