jhuTe va.adon par tumhari jaa.en kya
jante hain tum ko dhoka kha.en kya
pursish apne qatl ki hone lagi
davar-e-mahshar ko ham batla.en kya
un ki mahfil hairat-e-alam sahi
ghair ham-pahlu jahan ho jaa.en kya
ḳhun-e-dil khane se kuchh inkar hai
jab nahin ai lazzat-e-gham kha.en kya
naseh-e-mushfiq ko samjhana paḌa
is samajh par tum ko vo samjha.en kya
ghair ne rah kar jahannam kar diya
hain musalman tere ghar ham aa.en kya
ham se un se baat kya baaqi rahi
ham kahen kya aur vo farma.en kya
hai pashemani men iqrar-e-ḳhata
qatl kar ke mujh ko vo pachhta.en kya
a.enge phir bhi vahi ishrat ke din
inqilab-e-dahr se ghabra.en kya
mar hi kar uTThenge tere dar se ham
aa ke jab baiThe to phir uTh jaa.en kya
dil ko kho.e ek muddat ho ga.i
ai ‘asar’ ab DhunDne se paa.en kya
Leave a Reply