mire vajud ko us ne ajab kamal diya
ki musht-e-ḳhak tha aflak par uchhal diya
makan ko jhuTe makinon se paak karna tha
so main ne is se har ummid ko nikal diya
miri talab men takalluf bhi inkisar bhi tha
vo nukta-sanj tha sab mere hasb-e-hal diya
badal ke rakh diye hijr o visal ke mafhum
mujhe to us ne baḌi kashmakash men Daal diya
main us ki banda-navazi ke ramz janta huun
ki rizq-e-shauq diya luqma-e-halal diya
mire ḳhuda ne ata ki mujhe zaban aur phir
zaban ko martaba-e-jur.at-e-saval diya
Leave a Reply