ai junun dasht men divar kahan se la.un
main tamasha sahi bazar kahan se la.un
yad-e-ayyam ki kuchh sar men sama.i thi hava
ab vo TuuTa hua pindar kahan se la.un
kis se puchhun ki mira hal-e-pareshan kya hai
tujh ko ai a.ina-bardar kahan se la.un
meri un ankhon ne jaise tujhe dekha hi nahin
haa.e vo hasrat-e-didar kahan se la.un
in nigahon men tarasne ki si kaifiyyat hai
taqat-e-pursish-e-bimar kahan se la.un
ab mire kufr ko iman nahin kahta koi
tujh ko ai chashm-e-taraf-dar kahan se la.un
tha ye ghar bab-e-dua misl-e-asar tera varud
ab tujhe ai qadam-e-yar kahan se la.un
Leave a Reply