chale aao agar dam bhar ko tum to ye jaata rahe fil-faur maraz
ki nahin hai ba-juz bimari-e-gham miri jaan mujhe koi aur maraz
nahin kahta main tum se ki chara karo magar aa ke kabhi kabhi dekh to lo
ki samajhta nahin hai tabib koi hai tumhare hi qabil-e-ghaur maraz
mire isa-dam mire be-parva na ilaaj se mere haath utha
nahin bachne ka ye mariz tira ki hai badhta chala be-taur maraz
nahin is ka taajjub yaaro agar mire dil men dard ho rah rah kar
kare ghaflat isi-e-dauran jab tu na bandhe kyun-kar daur maraz
tujhe ‘anjum’ dard-e-firaq bhala kyuun chain se uthne baithne de
vo masih na jab kuchh rahm kare kare kyuun na jafa-o-jaur maraz
Leave a Reply