• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Tariq Ki dua

Tariq Ki dua

allama-iqbal

(undulus ke maidan-e-jang men)

ye ghazi ye tere pur-asrar bande

jinhen tu ne bakhsha hai zauq-e-khudai

do-nim un ki thokar se sahra o dariya

simat kar pahad un ki haibat se raai

do-alam se karti hai begana dil ko

ajab chiiz hai lazzat-e-ashnai

shahadat hai matlub-o-maqsud-e-momin

na mal-e-ghanimat na kishvar-kushai

khayaban men hai muntazir laala kab se

qaba chahiye us ko khun-e-arab se

kiya tu ne sahra-nashinon ko yakta

khabar men nazar men azan-e-sahar men

talab jis ki sadiyon se thi zindagi ko

vo soz us ne paaya unhin ke jigar men

kushad-e-dar-e-dil samajhte hain us ko

halakat nahin maut un ki nazar men

dil-e-mard-e-momin men phir zinda kar de

vo bijli ki thi nara-e-la-tazar men

azaem ko sinon men bedar kar de

nigah-e-musalman ko talvar kar de

Filed Under: Nazm Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Kisi Qatil Se Na Talwar Se Dar Lagta Hai

poet

Ku-Ba-Ku Ishq Mein Aawara-O-Ruswa Hun Main

allama-iqbal

Kabhi Ai Haqiqat-E-Muntazar Nazar Aa Libas-E-Majaz Mein

aabid-adeeb

Sharik-e-Alam-e-Kaif-O-Surur Main Bhi Tha

poet

Hum Kya Ki Hadd-E-Nazar Tak Sarab Ki Surat

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet