har vaqt fikr-e-marg-e-gharibana chahiye
sehhat ka ek pahlu marizana chahiye
duniya-e-be-tariq men jis samt bhi chalo
raste men ik salam rafiqana chahiye
ankhon men umDe ruuh ki nazdikiyon ke saath
aisa bhi ek duur ka yarana chahiye
kya pastiyon ki zillaten kya azmaton ke fauz
apne liye azaab judagana chahiye
ab dard-e-shush bhi saans ki koshish men hai sharik
ab kya ho ab to niind ko aa jaana chahiye
raushan tara.iyon se utarti hava men aaj
do chaar gaam laghzish-e-mastana chahiye
‘amjad’ in ashk-bar zamanon ke vaste
ik sa.at-e-bahar ka nazrana chahiye
Leave a Reply