phir aaya jam-ba-kaf gul-ezar ai vaaiz
shikast-e-tauba ki phir hai bahar ai vaaiz
na jaan mujh ko tu mukhtar sakht huun majbur
nahin hai dil pe mira ikhtiyar ai vaaiz
anar-e-khuld ko tu rakh ke hain pasand hamen
kuchen vo yaar ki rashk-e-anar ai vaaiz
usi ki kakul pur-pech ki qasam hai mujhe
ki tere vaaz hain sab pechdar ai vaaiz
hamare dard ko kya jaane tu ki tujh ko hai
na dard-e-yar na dard-e-dayar ai vaaiz
kiya jo zikr-e-qayamat ye kya qayamat ki
ki yaad aaya mujhe qad-e-yar ai vaaiz
bhulaega na kabhi yad-e-gul-rukhan ‘ehsan’
koi vo samjhe hai samjha hazar ai vaaiz
Leave a Reply