kya bata.un ki ab ḳhuda kya hai
aa.ine men ye dusra kya hai
sar se pa tak miri nigah men ho
munh chhupane se fa.eda kya hai
muskurata hai jaan le kar bhi
ab ḳhuda jaane chahta kya hai
da.av-e-ishq ham to kar baiThe
tu suna tera faisla kya hai
hai bahut kuchh abhi to parde men
dekhta ja abhi hua kya hai
ilm bhi ik hijab hai nadan
janta hai to janta kya hai
vo ḳhuda ho ki naḳhuda ai ‘dil’
Dubna hai to sochta kya hai
Leave a Reply