• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Mere Afkar Ne Jis Shai Se Jila Pai Hai

Mere Afkar Ne Jis Shai Se Jila Pai Hai

mere afkar ne jis shai se jila paa.i hai

ishq ki zinda-dili husn ki ra.ana.i hai

shaḳh-e-gul men jo nazakat jo lahak aa.i hai

teri bahon ki lachak hai teri angḌa.i hai

phir ubharne lage na ḳhasta-mazi ke nuqush

lauh-e-dil par koi tasvir ubhar aa.i hai

gham-o-andoh ke is daur men kya aish-o-nishat

shadyane hain ḳhushi ke na vo shahna.i hai

zindagi hai ki bulati hai taqazon ki taraf

dil giraftar-e-ḳham-e-zulf-e-chalipa.i hai

rahiye ḳhamosh to halat bigaḌ jaate hain

aur kuchh kahiye to andesha-e-rusva.i hai

dil vo kya hai ki na ho jis men mohabbat ka junun

sar vo kya hai ki jo be-vaz.a jabin-sa.i hai

main ki darpesh hai mujh ko safar-e-dur-o-daraz

aur ik vo hain ki un ko gham-e-tanha.i hai

koi marham na mudava koi phaha na dava

ziist oḌhe hue zaḳhmon ki rida aa.i hai

zarf-o-himmat se siva di nahin jaati taklif

itna gham dete hain jitni ki shakeba.i hai

‘taj’ ye zor-e-bayan jo bhi suḳhan men kuchh hai

asar-e-tarbiyat-e-shevan-e-mina.i hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Ai Mehrban Hai Gar Yahi Surat Nibah Ki

mirza-ghalib

Bagh Pa Kar Khafaqani Ye daraata Hai Mujhe

Nizam-E-Tabiat Se Ghabra Gaya Dil

poet

Jab Gina Qarz Chukane Aae

abdul-majeed-hairat

Marham-e-Zakhm-e-Jigar Ho Jae

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet