jab bhi milti hai mujhe ajnabi lagti kyuun hai
zindagi roz nae rang badalti kyuun hai
dhuup ke qahr ka dar hai to dayar-e-shab se
sar-barahna koi parchhain nikalti kyuun hai
mujh ko apna na kaha is ka gila tujh se nahin
is ka shikva hai ki begana samajhti kyuun hai
tujh se mil kar bhi na tanhai mitegi meri
dil men rah rah ke yahi baat khatakti kyuun hai
mujh se kya puchh rahe ho miri vahshat ka sabab
bu-e-avara se puchho ki bhatakti kyuun hai
Leave a Reply