gham-e-hayat kahani hai qissa-ḳhvan huun main
dil-e-sitam-zada hai raz-dan huun main
ziyada is se koi aaj tak bata na saka
ki ek nukta-e-na-qabil-e-bayan huun main
nazar ke samne kaundi thi ek bijli si
mujhe batao ḳhuda-ra ki ab kahan huun main
ḳhizan ne luuT liya gulshan-e-shabab magar
kisi bahar ke arman men javan huun main
ye kah rahi hai nazar ki gham-e-afrin jumbish
kisi ke dil ki tabahi ki dastan huun main
ḳhizan kahti thi main shoḳhi-e-baharan huun
bahar kahti hai rangini-e-ḳhizan huun main
shabab naam hai us jan-navaz lamhe ka
jab aadmi ko ye mahsus ho javan huun main
jahan-e-dard-o-alam pujta hai mujh ko aah
tapish-e-jabin hai lahu sajda astan huun main
vo din bhi the ki main jan-e-shabab tha ‘aḳhtar’
ab apne ahd-e-javani ki dastan huun main
Leave a Reply