chandni jis ki dar-e-jan pe ham aksar dekhen
kabhi us chand ko bhi haath se chhu kar dekhen
kaise bhar len dar-o-divar pe avezan hain
jis taraf dekhen tiri yaad ka manzar dekhen
kabhi barish ki bhi raton men na chamki bijli
yahi arman raha ghar ko munavvar dekhen
aankh khul jaae to sahra ki zamin par hon qadam
niind aa jaae to khvabon men samundar dekhen
tuut jaane ka bhi imkan bahut hai is men
yuun kamanon ki tarah aap na khinch kar dekhen
shaam hote hi nikal aate hain taare ‘fakhir’
ik sitare ka magar rasta shab-bhar dekhen
Leave a Reply