• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Aasman TuT paDa Hai Chhat Par

Aasman TuT paDa Hai Chhat Par

asman TuuT paḌa hai chhat par

mutma.in huun ki ḳhuda hai chhat par

ye Tapakne ki nahin hai pyare

kasrat-e-zar ki dua hai chhat par

mujh men ab tak hai yahi ḳhauf basa

chiḳh men Duubi sada hai chhat par

ek muflis ne kaha barish se

dekh mera bhi ḳhuda hai chhat par

vaqt niche bhi utarega use

umr bhar kaun rahega chhat par

mahv-e-hairat hai har ik bina.i

koi to khel bapa hai chhat par

raah men aa.e to lagta hai bhala

dekhne men jo bura hai chhat par

chand utra hai mire pahlu men

nuur men Duubi faza hai chhat par

jab se raste pe lagi hain nazren

rasta banta gaya hai chhat par

habs kamre ka batane aaya

mohtaram aaj hua hai chhat par

shauq se dekh rahi hai duniya

husn-e-tasvir bana hai chhat kar

ye bhi ruḳhsat ka ajab lamha hai

shahr ka shahr khaḌa hai chhat par

vaqt raste se uTha laaya hai

dekh ‘shahid’ bhi gaya hai chhat par

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Pur-Khaar Rahguzar Pe Hi Chalna Nahin Sada

Dil Wo Kafir Ki Sada Aish Ka Saman Mange

abbas-rizvi

Guzar Gaya Wo Zamana Wo Zakhm Bhar Bhi Gae

Karna Hai Jo Kaam Kar Raha Hun

Ai Qalandar Aa Tasawwuf Mein Sanwar Kar Raqs Kar

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet