• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Chaman Mein Shab Ko Jo Wo Shokh Be-Naqab Aaya

Chaman Mein Shab Ko Jo Wo Shokh Be-Naqab Aaya

haidar-ali-aatish

chaman men shab ko jo vo shokh be-naqab aaya

yaqin ho gaya shabnam ko aftab aaya

un ankhdiyon men agar nashsha-e-sharab aaya

salam jhuk ke karunga jo phir hijab aaya

kisi ke mahram-e-ab-e-ravan ki yaad aai

habab ke jo barabar kabhi habab aaya

shab-e-firaq men mujh ko sulane aaya tha

jagaya main ne jo afsana-go ko khvab aaya

adam men hasti se ja kar yahi kahunga main

hazar hasrat-e-zinda ko gaad daab aaya

chakor husn-e-mah-e-char-dah ko bhuul gaya

murad par jo tira alam-e-shabab aaya

mohabbat-e-mai-o-mashuq tark kar ‘atish’

safed baal hue mausam-e-khizab aaya

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Hosh-Zada Nadan Se Dar

Kam Hi Hote Hain Muqaddar Ke Sikandar Chehre

Bahut Pahunche to Un Ke Kakul-O-ruKHsar Tak Pahunche

Bhigo Gai Gul-E-Ehsas Aaj Shabnam Phir

poet

Jism Mein KHwahish Na Thi Ehsas Mein kanTa Na Tha

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet