• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jab Tak Fasil-E-Jism Ka Dar Khul Na Jaega

Jab Tak Fasil-E-Jism Ka Dar Khul Na Jaega

jab tak fasil-e-jism ka dar khul na ja.ega

is dil ki yurishon ka tasalsul na ja.ega

ḳhemon se ta-furat jo dariya-e-ḳhun hai ye

us par se maslahat ka koi pul na ja.ega

us ko guman nahin tha ki ahd-e-ḳhizan men bhi

ye zauq-e-naghma-rezi-e-bulbul na ja.ega

ye abr-e-agahi jo barasta raha yunhi

miTTi ka ye vajud mira ghul na ja.ega

girta rahega yunhi balaon ka abshar

jab tak ghubar-e-qalb-o-nazar dhul na ja.ega

vo shaḳhs to ḳhuda.i ke daave pe tul gaya

is had pe ham samajhte the bilkul na ja.ega

bas ai nigar-e-zist yaqin aa gaya hamen

ye teri be-ruḳhi ye ta.ammul na ja.ega

‘anjum’ nigar-e-zist ko phir chahiye vahi

ik sar jo ḳhvahishon ke evaz tul na ja.ega

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Sufi

Tanhai

poet

Bikhar Rahi Hai Jo Quwwat Wo Phir Munazzam Ho

Pahle to Mujh Mein Hashr Bapa Kar Diya Gaya

firaq-gorakhpuri

Aankhon Mein Wo Ras Jo Patti Patti dho Jae

poet

Kali Jo Gul Ki Chatak Rahi Hai Tabiat Apni Khatak Rahi Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet