koi an-hona vaqi.a nahin hai
ishq mere liye naya nahin hai
tujh ko har baat ka pata nahin hai
tu mira ishq hai ḳhuda nahin hai
yuun nishane na taak taak ke maar
ek hi dil hai dusra nahin hai
ye jo ham roz lafz bunte hain
mas.ala hai ye mashghala nahin hai
toḌta hai hudun-e-kaun-o-makan
dard ka koi da.era nahin hai
do kinare hain ek main ik tu
aur kinaron men fasla nahin hai
koi iz.har ki sabil nahin
aag hi aag hai hava nahin hai
ye jo tum maut se Darate ho
zindagi sab ka mas.ala nahin hai
Leave a Reply