shauq kahta hai ki chaliye ku-e-janan ki taraf
chahiye varaftagi ki pasdari in dinon
phir bahar aai hai ji umda hai yad-e-dost men
dil kare zaari aur ankhen ashk-bari in dinon
aah ye barsat ka mausam ye zakhmon ki bahar
ho gaya hai khun-e-dil ankhon se jaari in dinon
kya taqaza kijiye un se nigah-e-lutf ka
be-niyazi hai vahan yaan sogvari in dinon
Leave a Reply