dil-e-tabah ko ab tak nahin yaqin aaya
ki shaam biit ga.i aur tu nahin aaya
jahan se main ne kiya tha kabhi safar aghaz
main ḳhaak dhuul hua lauT kar vahin aaya
vo jis ke haath se taqrib-e-dil-numa.i thi
abhi vo lamha-e-maujud men nahin aaya
bas ek baar miri niind chhu gaya koi
phir is ke ba.ad har ik ḳhvab-e-dil-nashin aaya
bichhaḌ ke tujh se tiri yaad bhi nahin aa.i
makan ki samt palaT kar makin nahin aaya
Leave a Reply