ab ye hangama-e-duniya nahin dekha jaata
roz apna hi tamasha nahin dekha jaata
sair-e-hasti men kahin aur bhi ghuum aate hain
ek hi shahr-e-tamanna nahin dekha jaata
ḳhunki-e-lams-e-rifaqat hi bahut hoti hai
dhuup hamdam ho to saaya nahin dekha jaata
khol dete hain palaT aane pe darvaza-e-dil
aane vaale ka irada nahin dekha jaata
asmanon men bhi ik aisi kaman hai jis se
koi ḳhush-rang parinda nahin dekha jaata
apne honTon pe bichha deta huun ik mauj-e-sarab
pyaas aisi hai ki dariya nahin dekha jaata
fart-e-vahshat men kahin aur nikal aaya huun
ghar ka rasta hai ki sahra nahin dekha jaata
meri janib bhi to ruḳh kar kabhi ai shah-e-jamal
a.ina mujh se ziyada nahin dekha jaata
Leave a Reply