aalam hi aur tha jo shanasaiyon men tha
jo diip tha nigah ki parchhaiyon men tha
vo be-panah khauf jo tanhaiyon men tha
dil ki tamam anjuman-araiyon men tha
ik lamha-e-fusun ne jalaya tha jo diya
phir umr bhar khayal ki raanaiyon men tha
ik khvab-gun si dhuup thi zakhmon ki aanch men
ik saeban sa dard ki purvaiyon men tha
dil ko bhi ik jarahat-e-dil ne ata kiya
ye hausla ki apne tamashaiyon men tha
katta kahan tavil tha raton ka silsila
suraj miri nigah ki sachchaiyon men tha
apni gali men kyuun na kisi ko vo mil saka
jo e’timad badiya-paimaiyon men tha
is ahd-e-khud-sipas ka puchho ho majra
masruf aap apni paziraiyon men tha
us ke huzur shukr bhi asan nahin ‘ada’
vo jo qarib-e-jan miri tanhaiyon men tha
Leave a Reply