shab ki dahliz se kis haath ne phenka patthar
ho gaya sub.h ka mahka hua chehra patthar
kuchh anokhi to nahin meri mohabbat ki shikast
aa.ine jab bhi muqabil hue jiita patthar
is tilismat ki vaadi men palaT kar bhi na dekh
varna ho ja.ega ḳhud tera sarapa patthar
yaad ki lahr baha laa.i hai kis des mujhe
hai yahan vaqt ka bahta hua dariya patthar
kis ke paikar men samata mire ehsas ka loch
main ne insan se ḳhajil ho ke tarasha patthar
teri ankhon men abhi niind ke Dore kyuun hain
yaan to ik choT se ho jaate hain biina patthar
kund kar deta hai yuun zehan ko halat ka zahr
jaise ban jaa.e chamakta hua sona patthar
teri sochon ki qasam ai mire ḳhamosh ḳhuda
mujh se karte hain ita.at ka taqaza patthar
mujh se mayus na palTe miri taqdir ke gham
meri ungli men na tha koi chamakta patthar
kitni dildar hai sahil ki chamakti hui ret
ab nahin panv-tale koi nukila patthar
main sar-e-dar khaḌa huun ka.i sadiyon se ‘jalil’
kaun marega mire jism pe pahla patthar
Leave a Reply