samajh saka na koi raz-e-husn begana
juz iin niyaz-pasandi-e-qalb-e-divana
ye chandni ye faza ye hava-e-mai-ḳhana
davam ho to mile mujh ko ek paimana
tiri nigah ki tausif ho rahi hai magar
miri hi tishna-labi bhar rahi hai paimana
jahan pahunch na saka koi jazba-e-muhtat
vahan gaya hai mira zauq-e-sarfaroshana
nahin hai sarmad-o-mansur par hi ḳhatm junun
mujhe bhi logon ne aksar kaha hai divana
shikayat-e-gham-e-dil ko zaban nahin khulti
ki is nigah ke andaz hain karimana
tamam bazm men ik ham ḳhamosh baiThe hain
suna rahe hain sabhi tujh ko tera afsana
yaqin rakh ki tiri anjuman se ham bhi kabhi
tiri hi tarah se guzrenge be-niyazana
guzarni hai shab-e-gham kisi tarah ai dost
na apni koi kahani na koi afsana
na puchh mujh se kisi shai ki asl ai hamdam
ki dekhta huun main abadiyon men virana
ajab itab-e-mashiyyat hai mujh pe ai ‘ali’
gada bana ke diya hai mizaj shahana
Leave a Reply