ahd-e-vafa ka qarz ada kar diya gaya
mahrumiyon ka dard ata kar diya gaya
phulon ke dagh-ha-e-farozan ko dekh kar
arzan kuchh aur rang-e-hina kar diya gaya
varaftgan-e-shauq ka shikva sune baghair
gulshan supurd-e-ahl-e-jafa kar diya gaya
dil se umang lab se dua chhin li ga.i
kahne ko qaidiyon ko riha kar diya gaya
yak-do-nafas bhi kar-e-ziyan ham na kar sake
ḳhushbu ko pairahan se juda kar diya gaya
mangi thi afiyat ki dua agahi ka gham
pahle se bhi kuchh aur siva kar diya gaya
‘aḳhtar’ havas-garan-e-aqidat ke faiz se
sab kuchh rava ba-nam-e-ḳhuda kar diya gaya
Leave a Reply