• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Hum Donon Mein Koi Na Apne Qaul-O-Qasam Ka Sachcha Tha

Hum Donon Mein Koi Na Apne Qaul-O-Qasam Ka Sachcha Tha

ham donon men koi na apne qaul-o-qasam ka sachcha tha

aapas men bas ek purana TuTa-phuTa rishta tha

dil ki divaron pe ham ne aaj bhi silan dekhi hai

jaane kab ankhen roi thiin jaane kab badal barsa tha

ḳhvab-nagar tak aate aate TuuT ga.e ham jaise log

unchi nichi raah bahut thi saara rasta kachcha tha

puura badal puuri barish mausam puure zor pe tha

sab ke saron pe chhat rakkhi thi main hi akela bhiga tha

apni zaat ke saare ḳhufiya raste us par khol diye

jaane kis aalam men us ne haal hamara puchha tha

us ka milna dhul-bhare mausam men bundon jaisa tha

sabza ban kar phuuT raha hai jo bhi andar sukha tha

us ki yaad ke saare miThe phal toton ne katar liye

yuun to ham ne charon kone shor macha.e rakkha tha

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

dil Kis Ki Tegh-E-Naz Se Lazzat-Chashida Hai

Ajib Rang Ajab Haal Mein paDe Hue Hain

Kis Waqt Hadson Se paDa Sabiqa Mujhe

Kashti Bhi Nahin Badli Dariya Bhi Nahin Badla

Lai Teri Mahfil Mein Mujhe Aarzu-E-Did

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet