• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Hue Hain Ja Ke Aashiq Ab To Hum Us Shokh Chanchal Ke

Hue Hain Ja Ke Aashiq Ab To Hum Us Shokh Chanchal Ke

poet

hue hain ja ke ashiq ab to ham us shokh chanchal ke

sitamgar be-muravvat be-vafa be-rahm achpal ke

ghazalon ko tiri ankhen se kuchh nisbat nahin hargiz

ki ye aahu hain shahri aur ve vahshi hain jangal ke

giraftari hui hai dil ko mere be-tarah is se

ki aae pech men kahte hi un ki zulf ke bal ke

ye daulat-mand agar shab ko nahin yaaro to phir kya hai

ki hain ye chandni raton ko bhi muhtaj mishal ke

tumhare dard-e-sar se sandali-rango agar ji duun

tu chhape qabr par dena miri tum aa ke sandal ke

koi is ko kahe hai daam kui zanjir kui sumbul

hazaron naam hain kafir tiri zulf-e-musalsal ke

bayaban ban hamen ulfat nahin hai shahr se hargiz

tarah majnun ke ‘taban’ ham to divane hain jangal ke

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

firaq-gorakhpuri

Man Aur Bahan Bhi Aur Chaheti Beti

Rang Parida Zulf Pareshan

Pahle-Pahal laDenge tamasKHur uDaenge

Soz-E-Gham-E-Firaq Se Dil Ko Bachae Kaun

Ishq Mein Tere Jangal Bhi Ghar Lagte Hain

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet