dil ka aalam ashiqi men kya kahun kya ho gaya
ranj sahte sahte patthar ka kaleja ho gaya
chain ek din bhi na paaya main firaq-e-yar men
vahshat-e-dil kam hui thi kuchh ki sauda ho gaya
gir pade ghash kha ke ashiq aur murde ji uthe
do-qadam jab vo chale ye hashr barpa ho gaya
ho gae ham surat-e-divar us ko dekh kar
kucha-e-janan men kal apna ye naqsha ho gaya
haal sun ke yaar ka aai tan-e-be-jan men jaan
nama-bar mere liye goya masiha ho gaya
sair karne baam par aaya jo vo parda-nashin
saara aalam dekh kar mahv-e-tamasha ho gaya
zikr apna aj-kal sunte hain ‘aughat’ har kahin
apni barbadi ka bhi mash.hur qissa ho gaya
Leave a Reply