rang se rang milata hua jaata hua tu
kahkashan ek banata hua jaata hua tu
duur se teri taraf bhaag ke aata hua main
duur se haath hilata hua jaata hua tu
aage aage main ḳhad-o-ḳhal banata ja.un
pichhe pichhe vo miTata hua jaata hua tu
sone valon ko na.e ḳhvab muhayya kar ke
sabz qindil jalata hua jaata hua tu
paanv paḌta hua rota hua girta hua main
aur mira haath chhuḌata hua jaata hua tu
meri ḳhvahish thi ki barbad karun main ḳhud ko
meri ḳhvahish ka batata hua jaata hua tu
saḳht mayus pasheman guzarta hua main
muskurata hua gaata hua jaata hua tu
jitni ankhen hain vo hairan hui jaati hain
aur mire sher sunata hua jaata hua tu
jaise nakam koi shaḳhs ho vaise ‘sahir’
ek cigarette ko jalata hua jaata hua tu
Leave a Reply