Main Bhi Hun Ek Makan Ki Had Mein

maiñ bhī huuñ ik makān kī had meñ

ya.anī zinda huuñ apne marqad meñ

ḳhāmushī se ye ziist kar jaao

gūñjnā kyā zamīñ ke gumbad meñ

bhūltā hī nahīñ kahīñ bhī tū

mai-kade meñ rahūñ ki ma.abad meñ

vo bhī kyā ḳhuub haiñ jo pūchhte haiñ

kaun sī ḳhūbiyāñ haiñ murshid meñ

fāl-nāma hai zindagī bhī ‘zafar’

jī rahā huuñ hurūf-e-abjad meñ

Leave a Comment