pas-e-gardun kisi ne naam bola tha hamara
badan ki qaid se haa.e riha hona hamara
yuun ḳhud ko chhoḌ kar nikle kisi ki justuju men
hamin ne umr-bhar phir rasta dekha hamara
kisi ka aks ham par rah gaya ya aa.ine par
ki apne-ap se chehra nahin milta hamara
baḌi muddat se is ki dhuup jhele ja rahe hain
paḌega shams par bhi ek din saaya hamara
taḌapti hai sisakti hai yahan rah kar musalsal
ye kis ki ruuh hai jis ne badan pahna hamara
nishane par dil-e-majruh aḳhir kyuun hamesha
sitamgar kya tujhe ye sar nahin dikhta hamara
bana ke raz-e-dil har haal men vo shaḳhs ham ko
rakhega yaad par charcha nahin hoga hamara
Leave a Reply