Ishq Mein Tere Jaan-E-Zar Haif Hai Muft Mein Chali

ishq meñ tere jān-e-zār haif hai muft meñ chalī

tū ne par o sitam-shi.ār ab bhī mirī ḳhabar na lī

koī balā phir aa.egī muft meñ jaan jā.egī

pech meñ ham ko lā.egī zulf-e-siyāh baḌh chalī

aate hī fasl-e-dil-pazīr bole qafas meñ ham-safīr

jis meñ hue the ham asiir lo vahī phir havā chalī

ai gul-e-gulshan-e-vafā be-tire niiñd aa.e kyā

bistar-e-ḳhār se sivā mujh ko hai farsh-e-maḳhmalī

ḳhvāhish-e-justajū-e-yār had se bhī kuchh thī be-shumār

ba.ad-e-fanā mirā ġhubār DhūñDh phirā galī galī

dānish-o-tāqat-o-basar baḌh ga.e saare ham-safar

zād-e-safar kī fikr kar lag rahī hai chalā-chalī

laao pyāla-e-sharāb ghir ke phir aayā hai sahāb

ab nahīñ mere dil ko taab bād-e-bahār phir chalī

ai mah-e-āsmān-jāh tujh sā nahīñ hai kaj-kulāh

le ke falak charāġh-e-māh DhūñDh phirā galī galī

mū-e-safed aa gayā dhabbā ḳhizāb kā lagā

fasl-e-shabā-e-be-vafā dāġh-e-firāq de chalī

kabk kā dil huā figār mor ne jaañ kī nisār

teġh-e-ḳhirām-e-nāz-e-yār chaal na.ī na.ī chalī

bhuul ke koī dosto chāhe na un hasīnoñ ko

ab ye DhiñDhorā pher do lucknow meñ galī galī

go thī ik aag mushta.il jī thā par aisā muzmahil

sham-e-lahad bhī misl-e-dil gaah bujhī kabhī jalī

kahtā hai shoḳh-e-tuñd-ḳhū taab nahīñ dimāġh ko

bā.is-e-dard-e-sar na ho bū-e-libās-e-sandalī

sog meñ apne zaar ke yār-e-vafā-shi.ār ke

mehñdī chhūī na haath se missī na muddatoñ malī

hijr kī shab thī kyā ġhazab had ke sahe ġham-o-ta.ab

sub.h-e-visāl aa.ī ab jaan bachī balā Talī

koī nasīm-e-sub.h se merī taraf se ye kahe

bāġh-e-murād kī mire khil na sakī koī kalī

kyā tire haath aa gayā kab kā tujhe ġhubār thā

kū-e-sanam se kyuuñ sabā ḳhaak mirī uḌā chalī

dil hai bas ab alam se shaq yaas se rañg ruḳh hai faq

dekheñge ham kab ai ‘qalaq’ āñkhoñ se marqad-e-alī

Leave a Comment