mujh ko dushvar hua jis ka nazara tanha
kaash mil jaa.e kahin mujh ko dobara tanha
ai shab-e-hijr mujhe tu ne to dekha hoga
meri manind na tha subah ka taara tanha
tum na Thahre to kahan mauj-e-gurezan rukti
meri aghosh ki surat hai kinara tanha
uzr kya kya na tarasha kiye arbab-e-havas
jaan dene ka hua ishq ko yaara tanha
yuun bhi mahsus hua jaise ki main hi to huun
ek lamhe men jise main ne guzara tanha
yuun to duniya men bahut hain ki rahe hain nakam
bazi-e-ishq ko main jaan ke haara tanha
tu ne ai yaar azizan ye inayat kyuun ki
zindagi yuun bhi na thi mujh ko gavara tanha
Leave a Reply