lakir-e-sang ko anqa-misal ham ne kiya
bhula diya use dil se kamal ham ne kiya
shuru us ne kiya tha tamasha qurbat ka
phir us ke baad to saara dhamal ham ne kiya
ulaT ke rakh diye ham ne junun ke saare usuul
junub-e-dasht ko shahr-e-shimal ham ne kiya
farogh-e-zaḳhm se raushan rakha siyahi ko
ata-e-hijr ko najm-e-visal ham ne kiya
basa liya tiri ḳhushbu ko mazra-e-jan men
shaguft-e-gham tujhe kaisa nihal ham ne kiya
ik aur mauj thi is mauj-e-agahi se udhar
so auj-e-aql ko nazr-e-zaval ham ne kiya
bahana koi nahin ab safar men rahne ka
zamin-e-ḳhvab tujhe pa.emal ham ne kiya
ye be-niyazi zaruri thi kar-e-ulfat men
so ḳhud ka dhyan na tera ḳhayal ham ne kiya
saba to ḳhud hi muḳhatib thi ai faza-e-qafas
gavah rahiyo na koi saval ham ne kiya
dhanak si ban ga.i goya.i se sama.at tak
ye kis ke rang ko juzv-e-maqal ham ne kiya
hamare zaḳhm ki surḳhi baḌha gaya ‘arshad’
vo barg-e-sabz jise dast-mal ham ne kiya
Leave a Reply