Yar Ki Mahfil Saji Mai Ki Mahak Chhane Lagi

yaar kī mahfil sajī mai kī mahak chhāne lagī

zehn-o-dil meñ ye kahāñ se raushnī aane lagī

aa gale lag jā mire shamshīr-e-qātil is dafa.a

iid kyuuñ har baar merī rā.egāñ jaane lagī

terā shikva hai hinā hāthoñ pe kyuuñ chaḌhtī nahīñ

itnī muddat ho ga.ī jab tū mire shāne lagī

din guzāre the ye kah kar ab na sochūñgā use

phir bahār-e-īd aa.ī un kī yaad aane lagī

ek muddat ba.ad ‘sarvar’ gulshan-e-hastī meñ ab

phir bahār-e-īd aa.ī un kī yaad aane lagī

Leave a Comment