az-bas-ki ji hai tujh bin bezar zindagi se
behtar hai mujh ko marna ai yaar zindagi se
mar jaun main to rona mera tamam hove
shaki hain meri chashm-e-khun-bar zindagi se
us shahid-e-nihan ka kushta huun main ki jis ne
khinchi hai darmiyan men divar zindagi se
marte to chhut jaate ranj-o-mehan se yaan ke
manind-e-khizr ham hain na-char zindagi se
yaan ki aziyyaton se az-bas-ki agahi thi
karte the ham adam men inkar zindagi se
jiite agar na ham to kyuun zillaten uthate
khaai hai dil pe ham ne talvar zindagi se
sach hai uthae kab tak har ik ki be-adai
aati hai ‘mushafi’ ko ab aar zindagi se
Leave a Reply