suḳhan men rang tumhare ḳhayal hi ke to hain
ye sab karishme hava-e-visal hi ke to hain
kaha tha tum ne ki laata hai kaun ishq ki taab
so ham javab tumhare saval hi ke to hain
zara si baat hai dil men agar bayan ho jaa.e
tamam mas.ale iz.har-e-hal hi ke to hain
yahan bhi us ke siva aur kya nasib hamen
ḳhutan men rah ke bhi chashm-e-ghazal hi ke to hain
jasarat-e-suḳhan-e-sha.iran se Darna kiya
gharib mashghala-e-qil-o-qal hi ke to hain
hava ki zad pe hamara safar hai kitni der
charagh ham kisi sham-e-zaval hi ke to hain
Leave a Reply